Tuesday, May 13, 2008

Orissa ke liye behad labhdayak ho sakta hai nya naam Odisha





numerology main sabse adhik isbat par charcha hoti hai ki kisi nam ki spelling main badlav se kya phayda hota hai. kai log is sawal par apni ray jahir karte hain ki kya ye isvar ki vyavastha main hastchhep nahin hota? ya agar sab kuchh isvar ki ichchha se hi hota hai tophir naam badlne se kaise bhagya parivartan ho sakta hai.
is mudde par mera manna ye hai ki naam parivartit karne se bhagya parivartit ho sakta hai lekin esa bina isvar ki ichchha ke nahin hosakta. mera apna anubhav ye hai ki har karya ka samay nirdharit hai or jab takkisi karya kehone ka samay nahin aata vo nahin hota.
numerologist kai logon ko naam ki spelling main badlav ki salah dete hain parantu unmen se kai logon ke bhagya parivartan ka samay nahin aaya hota or kisi agyat shakti ke vashibhoot unka naam parivartit nahin hota. kai aise hote hain jinhen koi numerologist ki sevayenuplabdh nahin hotin ya ve numerologi kebare main jante tak nahin hain or paristhitiyon vash unka naam parivartit ho jata hai, prachalit ho jata hai or unka bhagya parivartan bhi ho jata hai.
ham india ki ek state Orissa ka udaharan lete hain. kin paristhitiyon main is state ka naam uske vastvik naam Odisha se Orissa ho gaya koi nahin janta. ab iska naam badalkar phir Odisha or state ki bhasha ka naam Oriya se odia karne ki kvayad tez ho gai hai.
vartman main orissa ka joint ank 17 ekal ank 1+7=8 tatha bhasha oriya ka joint ank 12 or ekal ank 1+2=3 banta hai.
Ank 8 shani grah ka pratinidhi ank hai vahin 3 ank brahspati ka pratinidhitv karta hai. prastavit naye naam Odisha ka joint ank 21 ekal ank 2+1=3 or bhasha ka joint ank 13 or ekal ank 1+3=4 aata hai.
shani grah kepratinidhitv namank ke apne phayde or nukshan hain parantu numerologist jahan tak sambhav ho 8 or 4 ke ank se bachne ki salah dete hain vahin 3 brahspati ka ank hone ki vajah se kisi desh ya uski state ke liye bahut labhdayak hota hai. choonki india ka ank pahle hi 12 ekal ank 1+2=3 hai jiski vajah se naam badalte hi odisha ko kendra se bharpur madad milna nishchit ho jayega bhale hi kendra or rajya main alag-alag partiyon ki sarkaren hon.

No comments: