Sunday, May 11, 2008

kyon hota hai spellings main change

Behtar rizalt ke liye numerology main uttam upay ke taur par vayakti se sambandhit name or vyavsay ki spelling main kuchh badlav kiya jata hai usi ke parinaamsvaroop pichhle lekh main hamne kuchh badli hui spelling ke udaharan dekhe the.
abhi ham is sawal par nahin jayenge ki is tarah spelling main cheng karne par kya prapt hone wale parinaam vastav main badal jaate hain?
kya is tarah badlav se prapt hone wale prinam hamesha hi vyakti ke hit main hote hain?
abhi ham sirph ye janne ki koshish karenge ki ese badlav kyon or kis tarah kiye jate hain.
is bat ko to sabhi jante hain ki vyakti ki date of birth uska mool ank hoti hai. jaise kisi vyakti ki date of birth 28 hai to uska mool ank 1 hoga.
2+8=10= 1+0=1
parantu ye sirph numerology main dilchaspi rakhne wale hi jante hain ki date of birth ke alava vyakti ki life ko uska name ank bhi prabhavit karta hai.
ye name ank kya hota hai?
sadiyon pahle kisi vidwan ya kinhi vidvano ne english ke pratyek warn ko vibhinn ankon ki pahchan di thi. or unhi anko se name ank nikal kar kisi bhi vyakti ke vyaktitav ki pahchan numerologist karte hain. unhi ankon ke madhyam se kisi vyakti ke name main vadlav kar uske sukhad bhavisya ki aasha ki jati hai. or unhi ankon ke madhyam se company ya unke product, filmon ke ya tele vizion ke siriyalon ke title nirdharit kiye jate hain. parantu yhan bhi date of birth ka hi mahatavpurna yogdan hota hai. badalkar ank banana kitne hain ye date of birth par hi nirbhar hota hai.

No comments: