Saturday, May 10, 2008

ek nazar hindi philmon ke title par







kya aapne kabhi socha hai ki hindi filmon or tv siriyalon ke shirshak aajkal kuchh vikrat se kyon hogaye hain. aam bhasha main jo spelling unki hona chahiye vo to hoti hi nahin hai kai bar to esi hoti hai jiske hindi uchcharan or inglish uchcharan main jamin aasman ka antar hota hai.
namuna dekhiye..
bhoothnath
bhoothnath main samanya spelling bhootnath hona chahiye thi parantu esa nahin hai ye to phir bhi ganimat hai jara in par gour pharmaiye..
kasamh se
kkusum
Thodi Si Jameen Thodda Aasmaan
Krisshna Arjun
Nigght / Nights Birds- Say Tu Dissda
in titalon main kahin kuchh khatakta hai. aam aadmi ke man main sawal uthta hai kyon?
jawab hai numerology
dunia main shayad hi koi chhetra esa bacha hai jahan numerology ne apna dakhal na rakha ho.
sawal ye hai ki kya is tarah spelling main badlav de kuchh phark padta hai. janenge agli post main.
intzaar kijiye.

No comments: